kab tak bandh ke rakkhun KHud se tere sab barbaadon ko
kab tak bandh ke rakkhun KHud se tere sab barbaadon ko
Mahrukh Ali Mahi
MORE BYMahrukh Ali Mahi
kab tak bāñdh ke rakkhūñ ḳhud se tere sab barbādoñ ko
achchhā ghar ko aag lagā duuñ ḳhaak karūñ sab yādoñ ko
achchhā achchhā Thiik hai yaarā rahne de tamhīd sabhī
jānte haiñ achchhe se ham bhī tere jaise sādoñ ko
ek chhalāvā ek sarāb thā saarī chāhat shīrīñ kī
jaao jā kar ḳhabar karo sab teshoñ ko farhādoñ ko
ab ke vaqt kaḌā hai ham par jo bhī kah deñ aap bajā
vaqt kā pahiyā ghuum gayā phir dekheñge shahzādoñ ko
kaise aas dilā.ūñ dil ko kaise bolūñ sabr kare
chain kahāñ aane paatā hai qismat ke nā-shādoñ ko
mātam-vātam ḳhatm kareñge sog miTā.eñge saarā
yā'nī āḳhir dafnā deñge aaj kī raat murādoñ ko
kab tak bandh ke rakkhun KHud se tere sab barbaadon ko
achchha ghar ko aag laga dun KHak karun sab yaadon ko
achchha achchha Thik hai yara rahne de tamhid sabhi
jaante hain achchhe se hum bhi tere jaise sadon ko
ek chhalawa ek sarab tha sari chahat shirin ki
jao ja kar KHabar karo sab teshon ko farhadon ko
ab ke waqt kaDa hai hum par jo bhi kah den aap baja
waqt ka pahiya ghum gaya phir dekhenge shahzadon ko
kaise aas dilaun dil ko kaise bolun sabr kare
chain kahan aane pata hai qismat ke na-shadon ko
matam-watam KHatm karenge sog miTaenge sara
ya'ni aaKHir dafna denge aaj ki raat muradon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.