kab tak bhanwar ke bich sahaara mile mujhe
kab tak bhañvar ke biich sahārā mile mujhe
tūfāñ ke ba.ad koī kinārā mile mujhe
jīvan meñ hādsoñ kī hī takrār kyuuñ rahe
lamha koī ḳhushī kā dobāra mile mujhe
bin chāhe merī raah meñ kyuuñ aa rahe haiñ log
jo chāhtī huuñ maiñ vo nazārā mile mujhe
saare jahāñ kī raushnī kab māñgtī huuñ maiñ
bas merī zindagī kā sitārā mile mujhe
duniyā meñ kaun hai jo 'sadaf' sukh sameT le
dekhā jise bhī dard kā maarā mile mujhe
kab tak bhanwar ke bich sahaara mile mujhe
tufan ke baad koi kinara mile mujhe
jiwan mein hadson ki hi takrar kyun rahe
lamha koi KHushi ka dobara mile mujhe
bin chahe meri rah mein kyun aa rahe hain log
jo chahti hun main wo nazara mile mujhe
sare jahan ki raushni kab mangti hun main
bas meri zindagi ka sitara mile mujhe
duniya mein kaun hai jo 'sadaf' sukh sameT le
dekha jise bhi dard ka mara mile mujhe
- Book : Pakistani Adab (Pg. 574)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.