kab tak gardish mein rahna hai kuchh to bata ayyam mujhe
kab tak gardish mein rahna hai kuchh to bata ayyam mujhe
Bharat Bhushan Pant
MORE BYBharat Bhushan Pant
kab tak gardish meñ rahnā hai kuchh to batā ayyām mujhe
kashtī ko sāhil mil jaatā aur thoḌā ārām mujhe
dasht nahīñ hai ye to merā ghar hai lekin jaane kyuuñ
uljhā.e rahtī hai ik vahshat sī sub.h-o-shām mujhe
apnī zaat se bāhar aanā ab to mirī majbūrī hai
varna merī ye tanhā.ī kar degī bad-nām mujhe
mumkin hai ik din maiñ in rishtoñ se munkir ho jā.ūñ
aur agar aisā hotā hai mat denā ilzām mujhe
mere dil kā dard sunā to us kī āñkheñ bhar aa.iiñ
is se behtar mil nahīñ sakte apne munāsib daam mujhe
zehn ko ye āvāra socheñ kis manzil par le aa.iiñ
kitnī mushkil se yaad aayā aaj tirā bhī naam mujhe
niiñd se isrār na kartīñ shāyad merī āñkheñ bhī
pahle se ma.alūm jo hotā ḳhvāboñ kā anjām mujhe
dasht-e-talab se kah do mujh ko merī manzil batlā de
maan liyā hai ab to sarāboñ ne bhī tishna-kām mujhe
ik muddat se khoyā huā thā maiñ apnī hī duniyā meñ
tum ko dekhā to yaad aayā tum se thā kuchh kaam mujhe
kab tak gardish mein rahna hai kuchh to bata ayyam mujhe
kashti ko sahil mil jata aur thoDa aaram mujhe
dasht nahin hai ye to mera ghar hai lekin jaane kyun
uljhae rahti hai ek wahshat si subh-o-sham mujhe
apni zat se bahar aana ab to meri majburi hai
warna meri ye tanhai kar degi bad-nam mujhe
mumkin hai ek din main in rishton se munkir ho jaun
aur agar aisa hota hai mat dena ilzam mujhe
mere dil ka dard suna to us ki aankhen bhar aain
is se behtar mil nahin sakte apne munasib dam mujhe
zehn ko ye aawara sochen kis manzil par le aain
kitni mushkil se yaad aaya aaj tera bhi nam mujhe
nind se israr na kartin shayad meri aankhen bhi
pahle se malum jo hota KHwabon ka anjam mujhe
dasht-e-talab se kah do mujh ko meri manzil batla de
man liya hai ab to sarabon ne bhi tishna-kaam mujhe
ek muddat se khoya hua tha main apni hi duniya mein
tum ko dekha to yaad aaya tum se tha kuchh kaam mujhe
- Book : Bechehragi (Pg. 16)
- Author : bharat bhushan pant
- Publication : Suman prakashan Alambagh,Lucknow (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.