kab tak ghuT kar jite rahte sachchai ke mare KHwab
kab tak ghuT kar jiite rahte sachchā.ī ke maare ḳhvāb
palkoñ kī dahlīz se bāhar nikle phir banjāre ḳhvāb
fitrat se hī āvāra haiñ kab Thahre jo Thahreñge
kaise palkoñ par aTke haiñ kuchh ḳhush-rañg tumhāre ḳhvāb
ab maulā hī jaane in meñ apnā kaun parāyā kaun
hans hans kar har shab milte haiñ yuuñ to itne saare ḳhvāb
jīvan kī is āpā-dhāpī meñ jo pīchhe chhūT ga.e
jaane ab kis haal meñ hoñge vo qismat ke maare ḳhvāb
ta.abīroñ kī fasleñ kaisī ugtī haiñ kal dekheñge
ham ne bhī bo.e haiñ shab bhar rañg-birañge pyāre ḳhvāb
kab 'akhilesh' tavaqqo kī thī barfīlī is ghāTī se
āñkhoñ se barseñge us kī ban kar yuuñ añgāre ḳhvāb
kab tak ghuT kar jite rahte sachchai ke mare KHwab
palkon ki dahliz se bahar nikle phir banjare KHwab
fitrat se hi aawara hain kab Thahre jo Thahrenge
kaise palkon par aTke hain kuchh KHush-rang tumhaare KHwab
ab maula hi jaane in mein apna kaun paraya kaun
hans hans kar har shab milte hain yun to itne sare KHwab
jiwan ki is aapa-dhapi mein jo pichhe chhuT gae
jaane ab kis haal mein honge wo qismat ke mare KHwab
tabiron ki faslen kaisi ugti hain kal dekhenge
hum ne bhi boe hain shab bhar rang-birange pyare KHwab
kab 'akhilesh' tawaqqo ki thi barfili is ghaTi se
aankhon se barsenge us ki ban kar yun angare KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.