kab tak hawa-e-shauq se dil ko bachaiye
kab tak havā-e-shauq se dil ko bachā.iye
mausam kā jo bhī mashvara ho maan jā.iye
pī hai agar sharāb to kuchh lutf uThā.iye
kyoñ itnī ehtiyāt zarā laḌkhaḌā.iye
lene na degī chain mohabbat kī tez aañch
chhīñToñ se us ko aaj havas ke bujhā.iye
itnā lihāz ruuh kā aur itnī farbahī
jhūTā hai shaiḳh bātoñ meñ us kī na aa.iye
vo bā-vafā nahīñ na sahī ḳhush-adā to hai
gar kuchh nahīñ to hazz-e-nazar hī uThā.iye
vaa.iz bayān-e-ḳhuld bahut ḳhuub hai magar
ik roz us kī bazm meñ bhī ho ke aa.iye
kab tak hawa-e-shauq se dil ko bachaiye
mausam ka jo bhi mashwara ho man jaiye
pi hai agar sharab to kuchh lutf uThaiye
kyon itni ehtiyat zara laDkhaDaiye
lene na degi chain mohabbat ki tez aanch
chhinTon se us ko aaj hawas ke bujhaiye
itna lihaz ruh ka aur itni farbahi
jhuTa hai shaiKH baaton mein us ki na aaiye
wo ba-wafa nahin na sahi KHush-ada to hai
gar kuchh nahin to hazz-e-nazar hi uThaiye
waiz bayan-e-KHuld bahut KHub hai magar
ek roz us ki bazm mein bhi ho ke aaiye
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 275)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.