kab tak khinchi lakir pe hi chalte jaen hum
kab tak khiñchī lakīr pe hī chalte jaa.eñ ham
aao ki ab nayā koī rasta banā.eñ ham
bātoñ meñ aa ke ek sitāra-misāl kī
ḳhadsha hai jān-e-man na tumheñ bhuul jaa.eñ ham
itne kaḌe the kos ki mohlat na mil sakī
kuchh der rāste meñ kahīñ baiTh jaa.eñ ham
ma.alūm hai ki aane se qāsir hai ek shaḳhs
kyā us ke intizār meñ āñkheñ jalā.eñ ham
yuuñ dekhiye to koī baḌī baat bhī nahīñ
phir talḳhiyoñ kā yaar sabab kyā batā.eñ ham
jab faisle hoñ nām-o-nasab dekh kar 'vasīm'
zanjīr ḳhaak adl kī jā kar hilā.eñ ham
kab tak khinchi lakir pe hi chalte jaen hum
aao ki ab naya koi rasta banaen hum
baaton mein aa ke ek sitara-misal ki
KHadsha hai jaan-e-man na tumhein bhul jaen hum
itne kaDe the kos ki mohlat na mil saki
kuchh der raste mein kahin baiTh jaen hum
malum hai ki aane se qasir hai ek shaKHs
kya us ke intizar mein aankhen jalaen hum
yun dekhiye to koi baDi baat bhi nahin
phir talKHiyon ka yar sabab kya bataen hum
jab faisle hon nam-o-nasab dekh kar 'wasim'
zanjir KHak adl ki ja kar hilaen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.