kab tak tasawwuraat mein dil ko lahu karen
kab tak tasavvurāt meñ dil ko lahū kareñ
aa ai shab-e-firāq koī guftugū kareñ
duniyā-e-hādsāt kī nairañgiyoñ kī ḳhair
kyūñkar nigāh-e-nāz tirī aarzū kareñ
apnī vafā kā zikr terī be-ruḳhī kī baat
tū sun sake to aaj tire rū-ba-rū kareñ
phir bhar ga.e haiñ zaḳhm dil-e-nā-subūr ke
jī chāhtā hai phir se tirī justujū kareñ
phaile hue haiñ silsile vahshat ke duur tak
dāmān-e-zindagī ko kahāñ tak rafū kareñ
ham ne banā liyā hai nayā phir se āshiyāñ
'asrār' bijliyoñ se chalo guftugū kareñ
kab tak tasawwuraat mein dil ko lahu karen
aa ai shab-e-firaq koi guftugu karen
duniya-e-hadsat ki nairangiyon ki KHair
kyunkar nigah-e-naz teri aarzu karen
apni wafa ka zikr teri be-ruKHi ki baat
tu sun sake to aaj tere ru-ba-ru karen
phir bhar gae hain zaKHm dil-e-na-subur ke
ji chahta hai phir se teri justuju karen
phaile hue hain silsile wahshat ke dur tak
daman-e-zindagi ko kahan tak rafu karen
hum ne bana liya hai naya phir se aashiyan
'asrar' bijliyon se chalo guftugu karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.