kab talak is KHamushi ki tarjumani ho
kab talak is ḳhāmushī kī tarjumānī ho
'ishq kā iz.hār ab to muñh-zabānī ho
mehmāñ dil ke bano to mehrbānī ho
kab talak is dard-e-dil kī mezbānī ho
kis ke ashkoñ ne kiyā khārā samundar ko
ab 'atā sāgar ko bhī kuchh mīThā paanī ho
lutf aatā hī nahīñ auroñ ko paḌhne meñ
darj pannoñ meñ hamārī bhī kahānī ho
peḌ kaT ke bhī kisī kā ghar banātā hai
kaam aa.e sab ke aisī zindagānī ho
ḳhāmushī ko ham vahāñ apnāte haiñ aksar
bolnā apnā jahāñ bhī be-ma'ānī ho
kas ke bāñhoñ meñ use baiThā huā hai vo
ziist jaise ye 'amit' kī jāvedānī ho
kab talak is KHamushi ki tarjumani ho
'ishq ka izhaar ab to munh-zabani ho
mehman dil ke bano to mehrbani ho
kab talak is dard-e-dil ki mezbani ho
kis ke ashkon ne kiya khaara samundar ko
ab 'ata sagar ko bhi kuchh miTha pani ho
lutf aata hi nahin auron ko paDhne mein
darj pannon mein hamari bhi kahani ho
peD kaT ke bhi kisi ka ghar banata hai
kaam aae sab ke aisi zindagani ho
KHamushi ko hum wahan apnate hain aksar
bolna apna jahan bhi be-ma'ani ho
kas ke banhon mein use baiTha hua hai wo
zist jaise ye 'amit' ki jawedani ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.