kab yahan koi hai saga mera
kab yahāñ koī hai sagā merā
phir bhī sab se hai rābta merā
pahle aañsū chhupā.e haiñ ḳhud ke
tab kahīñ jā ke ghar chalā merā
ruuh ab bhī safar pe hai merī
jism kab kā ye thak chukā merā
mujh ko sūraj kī aarzū kyoñ ho
jab diyā kaam kar gayā merā
kashtī Duubī thī baad meñ merī
pahle Duubā thā hausla merā
kab yahan koi hai saga mera
phir bhi sab se hai rabta mera
pahle aansu chhupae hain KHud ke
tab kahin ja ke ghar chala mera
ruh ab bhi safar pe hai meri
jism kab ka ye thak chuka mera
mujh ko suraj ki aarzu kyon ho
jab diya kaam kar gaya mera
kashti Dubi thi baad mein meri
pahle Duba tha hausla mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.