kabhi aabaad virane na hote
kabhī ābād vīrāne na hote
agar duniyā meñ dīvāne na hote
na hotā sham.a kā yuuñ naam raushan
agar jāñbāz parvāne na hote
junūñ kī had ko pā lenā thā mushkil
agar hushiyār dīvāne na hote
agar dar-parda kuchh bāteñ na hotīñ
to ye dilchasp afsāne na hote
agar pyāsoñ ko miltā jaam saaqī
to yuuñ badnām maiḳhāne na hote
agar rakhte na ham irfān-e-vahdat
to but-ḳhāne ḳhudā-ḳhāne na hote
junūñ kā hausla hargiz na baḌhtā
jo gulshan aur vīrāne na hote
ġhanīmat hai hamārī zaat saaqī
na ham hote to maiḳhāne na hote
inheñ ai 'soz' kuchh honā hī paḌtā
ye dīvāne jo dīvāne na hote
kabhi aabaad virane na hote
agar duniya mein diwane na hote
na hota shama ka yun nam raushan
agar jaanbaz parwane na hote
junun ki had ko pa lena tha mushkil
agar hushiyar diwane na hote
agar dar-parda kuchh baaten na hotin
to ye dilchasp afsane na hote
agar pyason ko milta jam saqi
to yun badnam maiKHane na hote
agar rakhte na hum irfan-e-wahdat
to but-KHane KHuda-KHane na hote
junun ka hausla hargiz na baDhta
jo gulshan aur virane na hote
ghanimat hai hamari zat saqi
na hum hote to maiKHane na hote
inhen ai 'soz' kuchh hona hi paDta
ye diwane jo diwane na hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.