kabhi aahon kabhi ashkon ki pazirai hai
kabhī aahoñ kabhī ashkoñ kī pazīrā.ī hai
aap kī bazm se behtar mirī tanhā.ī hai
jis se ubhrā na kabhī Dūbne vaalā koī
terī āñkhoñ meñ usī jhiil kī gahrā.ī hai
aaj ik jān-e-hayā phuul se ruḳhsāroñ par
rang kashmīr ke seboñ kā churā laa.ī hai
bāġhbāñ ham ne lahū apnā bahāyā pahle
tab kahīñ jā ke gulistāñ meñ bahār aa.ī hai
merī āġhosh meñ aate hī pighal jāoge
barf ne bhī kahīñ sho.aloñ meñ amaañ paa.ī hai
us ne gholā hai fazāoñ meñ tarannum shāyad
gungunātī huī jo bād-e-sabā aa.ī hai
bahr-e-jazbāt meñ tūfān machal jaate haiñ
terī raftār ne kyā shoḳh-adā paa.ī hai
kabhi aahon kabhi ashkon ki pazirai hai
aap ki bazm se behtar meri tanhai hai
jis se ubhra na kabhi Dubne wala koi
teri aankhon mein usi jhil ki gahrai hai
aaj ek jaan-e-haya phul se ruKHsaron par
rang kashmir ke sebon ka chura lai hai
baghban hum ne lahu apna bahaya pahle
tab kahin ja ke gulistan mein bahaar aai hai
meri aaghosh mein aate hi pighal jaoge
barf ne bhi kahin shoalon mein aman pai hai
us ne ghola hai fazaon mein tarannum shayad
gungunati hui jo baad-e-saba aai hai
bahr-e-jazbaat mein tufan machal jate hain
teri raftar ne kya shoKH-ada pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.