kabhi aansuon ko chhupana paDa hai
kabhī āñsuoñ ko chhupānā paḌā hai
kabhī be-sabab muskurānā paḌā hai
vahī jāntā hai javānī kī qīmat
buḌhāpe meñ jis ko kamānā paḌā hai
tujhe ham ne pā to liyā hai ai duniyā
magar jaane kyā kyā gañvānā paḌā hai
abhī maiñ baḌā aadmī bhī nahīñ huuñ
mire pīchhe kyoñ ye zamānā paḌā hai
aziyyat hai kyā shai mire dil se pūchho
unheñ kis tarah se bhulānā paḌā hai
zamāne kī rusvā.ī ke Dar se 'maikash'
tirā naam likh kar miTānā paḌā hai
kabhi aansuon ko chhupana paDa hai
kabhi be-sabab muskurana paDa hai
wahi jaanta hai jawani ki qimat
buDhape mein jis ko kamana paDa hai
tujhe hum ne pa to liya hai ai duniya
magar jaane kya kya ganwana paDa hai
abhi main baDa aadmi bhi nahin hun
mere pichhe kyon ye zamana paDa hai
aziyyat hai kya shai mere dil se puchho
unhen kis tarah se bhulana paDa hai
zamane ki ruswai ke Dar se 'maikash'
tera nam likh kar miTana paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.