kabhi ab tujh pe dil ai sang-dil aane nahin denge
kabhī ab tujh pe dil ai sang-dil aane nahīñ deñge
ki ab patthar se is shīshe ko Takrāne nahīñ deñge
ḳhayāl-e-yār bhī aa.e to ham aane nahīñ deñge
kisī zālim ko bhī ab dil ko taḌpāne nahīñ deñge
ba-sad-shauq aao jaao dil se aañkh aur aañkh se dil meñ
magar dil chhoḌ kar jaao to ham jaane nahīñ deñge
agar vus'at meñ lā-mahdūd bhī ho dāman-e-rahmat
to ham bhī dāman-e-‘isyāñ ko sharmāne nahīñ deñge
vo shāh-e-husn-e-jannat ho ki shāh-e-husn-e-'ālam ho
koī bhī ho kisī ko dil ke nazrāne nahīñ deñge
hamāre dostoñ se to hamāre qarz-ḳhvāh achchhe
nahīñ kahte ki mar kahte haiñ mar jaane nahīñ deñge
hazār ehsās sham' soz-e-parvāna kā rakhtī ho
ijāzat us ko jal-bujhne kī parvāne nahīñ deñge
hameñ ḳhvāh 'aam hī karnā paḌe faizān-e-mai-ḳhāna
magar ham shaiḳh ko duniyā ko bahkāne nahīñ deñge
badal deñge ḳhayāl-e-yār se ḳhalvat ko jalvat meñ
kabhī ham dil ko tanhā.ī meñ ghabrāne nahīñ deñge
batā ai husn agar 'aql-o-ḳhirad se kaam leñ ham bhī
to phir dil kaun degā dil jo dīvāne nahīñ deñge
ye nazzāroñ meñ kho kar ghar kā rasta bhuul jaatā hai
akele tifl-e-dil ko ab kahīñ jaane nahīñ deñge
ham āvāra-mizājoñ kī na pūchho ham agar chāheñ
janāb-e-ḳhizr ko bhī raah par aane nahīñ deñge
chhupā kar dil meñ le jā.eñge jo jo dil pe guzrī hai
ham is nā-qadr duniyā ko ye afsāne nahīñ deñge
amārat ke zaḳhīre ai 'amar' bharpūr kitne hoñ
bhikārī ko magar ye muTThī-bhar daane nahīñ deñge
kabhi ab tujh pe dil ai sang-dil aane nahin denge
ki ab patthar se is shishe ko Takrane nahin denge
KHayal-e-yar bhi aae to hum aane nahin denge
kisi zalim ko bhi ab dil ko taDpane nahin denge
ba-sad-shauq aao jao dil se aankh aur aankh se dil mein
magar dil chhoD kar jao to hum jaane nahin denge
agar wus'at mein la-mahdud bhi ho daman-e-rahmat
to hum bhi daman-e-‘isyan ko sharmane nahin denge
wo shah-e-husn-e-jannat ho ki shah-e-husn-e-'alam ho
koi bhi ho kisi ko dil ke nazrane nahin denge
hamare doston se to hamare qarz-KHwah achchhe
nahin kahte ki mar kahte hain mar jaane nahin denge
hazar ehsas sham' soz-e-parwana ka rakhti ho
ijazat us ko jal-bujhne ki parwane nahin denge
hamein KHwah 'am hi karna paDe faizan-e-mai-KHana
magar hum shaiKH ko duniya ko bahkane nahin denge
badal denge KHayal-e-yar se KHalwat ko jalwat mein
kabhi hum dil ko tanhai mein ghabrane nahin denge
bata ai husn agar 'aql-o-KHirad se kaam len hum bhi
to phir dil kaun dega dil jo diwane nahin denge
ye nazzaron mein kho kar ghar ka rasta bhul jata hai
akele tifl-e-dil ko ab kahin jaane nahin denge
hum aawara-mizajon ki na puchho hum agar chahen
janab-e-KHizr ko bhi rah par aane nahin denge
chhupa kar dil mein le jaenge jo jo dil pe guzri hai
hum is na-qadr duniya ko ye afsane nahin denge
amarat ke zaKHire ai 'amar' bharpur kitne hon
bhikari ko magar ye muTThi-bhar dane nahin denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.