kabhi achchha bura socha nahin hai
kabhī achchhā burā sochā nahīñ hai
mohabbat aql kā saudā nahīñ hai
maiñ patthar huuñ magar sach boltā huuñ
vo ā.īna hai aur sachchā nahīñ hai
sirāt-e-ishq par muḌ kar na dekho
palaTne kā koī rasta nahīñ hai
abhī TuuTā nahīñ hai ḳhvāb merā
abhī vo niiñd se jaagā nahīñ hai
abhī āñkhoñ meñ bīnā.ī hai baaqī
abhī maiñ ne tumheñ dekhā nahīñ hai
ye kaisā vasl kā lamha hai jis meñ
kahīñ bhī hijr kā dhaḌkā nahīñ hai
kahīñ maujūd hai vo ab bhī mujh meñ
vo bichhḌā hai magar khoyā nahīñ hai
kabhi achchha bura socha nahin hai
mohabbat aql ka sauda nahin hai
main patthar hun magar sach bolta hun
wo aaina hai aur sachcha nahin hai
siraat-e-ishq par muD kar na dekho
palaTne ka koi rasta nahin hai
abhi TuTa nahin hai KHwab mera
abhi wo nind se jaga nahin hai
abhi aankhon mein binai hai baqi
abhi main ne tumhein dekha nahin hai
ye kaisa wasl ka lamha hai jis mein
kahin bhi hijr ka dhaDka nahin hai
kahin maujud hai wo ab bhi mujh mein
wo bichhDa hai magar khoya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.