kabhi aisa bhi hota hai kinare TuT jate hain
kabhī aisā bhī hotā hai kināre TuuT jaate haiñ
karo jin par bharosa vo sahāre TuuT jaate haiñ
kabhī mahñgā.ī Dastī hai kabhī tirchhī nazar un kī
hamāre hausle az-ḳhud hī saare TuuT jaate haiñ
ye apnī apnī qismat hai muqaddar hai har ik shai kā
nazar se jo utar jaate haiñ taare TuuT jaate haiñ
yaqīñ kaise karūñ apne irādoñ par 'rasā' sāhib
irāde jab bhī kartā huuñ vo saare TuuT jaate haiñ
kabhi aisa bhi hota hai kinare TuT jate hain
karo jin par bharosa wo sahaare TuT jate hain
kabhi mahngai Dasti hai kabhi tirchhi nazar un ki
hamare hausle az-KHud hi sare TuT jate hain
ye apni apni qismat hai muqaddar hai har ek shai ka
nazar se jo utar jate hain tare TuT jate hain
yaqin kaise karun apne iradon par 'rasa' sahib
irade jab bhi karta hun wo sare TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.