kabhi andhere se ghabrae raushni se kabhi
kabhī añdhere se ghabrā.e raushnī se kabhī
kabhī bujhā.e charāġh aur kabhī jalā.e charāġh
vo bujhte dil ko na dekheñ kisī ke ḳhuub hai ye
vo muñh ko pher leñ jis vaqt jhilmilā.e charāġh
lahad pe chal ke havā gar bujhātī hai to bujhā.e
tumhārā ho chukā ehsāñ ki ḳhud jalā.e charāġh
lahad pe bū-e-vafā aa rahī thī vaqt-e-sahar
kahīñ kahīñ jo paḌe haiñ jale-jalā.e charāġh
ik āh-e-garm se turbat meñ kaam lene do
yūñhī jalā.e isī tarah se bujhā.e charāġh
jo thā to bas vahī dil-soz bhī thā ai 'jāved'
kisī ne dil na jalāyā yahāñ sivā.e charāġh
kabhi andhere se ghabrae raushni se kabhi
kabhi bujhae charagh aur kabhi jalae charagh
wo bujhte dil ko na dekhen kisi ke KHub hai ye
wo munh ko pher len jis waqt jhilmilae charagh
lahad pe chal ke hawa gar bujhati hai to bujhae
tumhaara ho chuka ehsan ki KHud jalae charagh
lahad pe bu-e-wafa aa rahi thi waqt-e-sahar
kahin kahin jo paDe hain jale-jalae charagh
ek aah-e-garm se turbat mein kaam lene do
yunhi jalae isi tarah se bujhae charagh
jo tha to bas wahi dil-soz bhi tha ai 'jawed'
kisi ne dil na jalaya yahan siwae charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.