kabhi apne ishq pe tabsire kabhi tazkire ruKH-e-yar ke
kabhi apne ishq pe tabsire kabhi tazkire ruKH-e-yar ke
Suroor Barabankvi
MORE BYSuroor Barabankvi
kabhī apne ishq pe tabsire kabhī tazkire ruḳh-e-yār ke
yūñhī biit jā.eñge ye bhī din jo ḳhizāñ ke haiñ na bahār ke
ye tilism-e-husn-e-ḳhayāl hai ki fareb tere dayār ke
sar-e-bām jaise abhī abhī koī chhup gayā hai pukār ke
siiyo chāk-e-dāman-o-āstīñ ki vo sargirāñ na ho phir kahīñ
yahī rut hai ishrat-e-dīd kī yahī din haiñ āmad-e-yār ke
abhī aur mātam-e-rañg-o-bū ki chaman ko hai talab-e-numū
tere ashk hoñ ki mirā lahū ye amiiñ haiñ fasl-e-bahār ke
ġham-e-roz-o-shab kī amiin hai ye hayāt phir bhī hasīn hai
kahīñ dhuup āriz-e-dost kī kahīñ saaye gesū-e-yār ke
kabhi apne ishq pe tabsire kabhi tazkire ruKH-e-yar ke
yunhi bit jaenge ye bhi din jo KHizan ke hain na bahaar ke
ye tilism-e-husn-e-KHayal hai ki fareb tere dayar ke
sar-e-baam jaise abhi abhi koi chhup gaya hai pukar ke
siyo chaak-e-daman-o-astin ki wo sargiran na ho phir kahin
yahi rut hai ishrat-e-did ki yahi din hain aamad-e-yar ke
abhi aur matam-e-rang-o-bu ki chaman ko hai talab-e-numu
tere ashk hon ki mera lahu ye amin hain fasl-e-bahaar ke
gham-e-roz-o-shab ki amin hai ye hayat phir bhi hasin hai
kahin dhup aariz-e-dost ki kahin saye gesu-e-yar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.