kabhi bahaar bane aur sanwar gae hum log
kabhī bahār bane aur sañvar ga.e ham log
kabhī ġhubār kī sūrat bikhar ga.e ham log
kabhī hayāt ke ḳhurshīd māhtāb hue
kabhī hayāt ko tārīk kar ga.e ham log
kabhī hujūm-e-havādis se be-ḳhatar guzre
kabhī havāoñ ke jhoñkoñ se Dar ga.e ham log
kabhī charāġh jalā.e chamak uThīñ rāheñ
kabhī añdheroñ hī meñ apne ghar ga.e ham log
kabhī mazāq-e-tajassus ne rahnumā.ī kī
kabhī ḳhud aap se bhī be-ḳhabar ga.e ham log
kabhī milī bhī jo manzil to baḌh ga.e aage
kabhī nuqūsh-e-qadam par bikhar ga.e ham log
kabhī gulāboñ kī mānind khil uThe kyā kyā
kabhī usī jagah bā-chashm-e-tar ga.e ham log
vo uḌ rahī hai na.e qāfiloñ kī gard 'rabāb'
vo aa ga.e na.e ahl-e-safar ga.e ham log
kabhi bahaar bane aur sanwar gae hum log
kabhi ghubar ki surat bikhar gae hum log
kabhi hayat ke KHurshid mahtab hue
kabhi hayat ko tarik kar gae hum log
kabhi hujum-e-hawadis se be-KHatar guzre
kabhi hawaon ke jhonkon se Dar gae hum log
kabhi charagh jalae chamak uThin rahen
kabhi andheron hi mein apne ghar gae hum log
kabhi mazaq-e-tajassus ne rahnumai ki
kabhi KHud aap se bhi be-KHabar gae hum log
kabhi mili bhi jo manzil to baDh gae aage
kabhi nuqush-e-qadam par bikhar gae hum log
kabhi gulabon ki manind khil uThe kya kya
kabhi usi jagah ba-chashm-e-tar gae hum log
wo uD rahi hai nae qafilon ki gard 'rabab'
wo aa gae nae ahl-e-safar gae hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.