kabhi banta kabhi miTta hun shayad
kabhī bantā kabhī miTtā huuñ shāyad
maiñ apne vahm kā saayā huuñ shāyad
na koī mujh ko ab tak paḌh sakā hai
havāoñ par kahīñ likkhā huuñ shāyad
mujhe merā samandar DhūñDhtā hai
maiñ ik bhaTkā huā dariyā huuñ shāyad
badal jaate haiñ ḳhadd-o-ḳhāl mere
maiñ mar kar bhī nahīñ martā huuñ shāyad
kahāñ hai merī marg-e-nā-gahānī
usī kī aas meñ zinda huuñ shāyad
tujhe kho kar akelā ho gayā thā
tujhe pā kar bhī maiñ tanhā huuñ shāyad
ḳhud apne qatl kā chaska hai mujh ko
ḳhud apne ḳhuun kā pyāsā huuñ shāyad
azal se maiñ musalsal chal rahā huuñ
thakan se TūTtā lamha huuñ shāyad
na jaane kaun mujh meñ kho gayā hai
kisī ko DhūñDne niklā huuñ shāyad
mujhe rokā gayā thā jis dishā se
usī jānib chalā aayā huuñ shāyad
mujhe pahchān le ā.īne mere
maiñ terā gum-shuda chehrā huuñ shāyad
kabhi banta kabhi miTta hun shayad
main apne wahm ka saya hun shayad
na koi mujh ko ab tak paDh saka hai
hawaon par kahin likkha hun shayad
mujhe mera samandar DhunDhta hai
main ek bhaTka hua dariya hun shayad
badal jate hain KHadd-o-KHal mere
main mar kar bhi nahin marta hun shayad
kahan hai meri marg-e-na-gahani
usi ki aas mein zinda hun shayad
tujhe kho kar akela ho gaya tha
tujhe pa kar bhi main tanha hun shayad
KHud apne qatl ka chaska hai mujh ko
KHud apne KHun ka pyasa hun shayad
azal se main musalsal chal raha hun
thakan se TuTta lamha hun shayad
na jaane kaun mujh mein kho gaya hai
kisi ko DhunDne nikla hun shayad
mujhe roka gaya tha jis disha se
usi jaanib chala aaya hun shayad
mujhe pahchan le aaine mere
main tera gum-shuda chehra hun shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.