kabhi bhul kar bhi na baat ki mujhe dil se aisa bhula diya
kabhī bhuul kar bhī na baat kī mujhe dil se aisā bhulā diyā
kahūñ kyā maiñ terī sharārteñ ki jigar ko tū ne jalā diyā
vo banāo karne haiñ baiThte to sabhoñ se lete haiñ ḳhidmateñ
kabhī mal dī missī raqīb ne kabhī surma maiñ ne lagā diyā
ġham-e-ishq kī sunī dāstāñ to kaleja thaam ke yaar ne
ye kahā ki qissa ajiib thā mire dil ko us ne kuḌhā diyā
mire ḳhat ko us ne na jab paḌhā mire nāma-bar ko bhī ġham huā
kahā muddatoñ kā jo aasrā thā vo aaj tum ne miTā diyā
kabhī pūchhā maiñ ne bahisht ko ki batāo to vo hai kis taraf
to 'shabāb' kūcha-e-yār kā mujhe zāhidoñ ne patā diyā
kabhi bhul kar bhi na baat ki mujhe dil se aisa bhula diya
kahun kya main teri shararten ki jigar ko tu ne jala diya
wo banao karne hain baiThte to sabhon se lete hain KHidmaten
kabhi mal di missi raqib ne kabhi surma main ne laga diya
gham-e-ishq ki suni dastan to kaleja tham ke yar ne
ye kaha ki qissa ajib tha mere dil ko us ne kuDha diya
mere KHat ko us ne na jab paDha mere nama-bar ko bhi gham hua
kaha muddaton ka jo aasra tha wo aaj tum ne miTa diya
kabhi puchha main ne bahisht ko ki batao to wo hai kis taraf
to 'shabab' kucha-e-yar ka mujhe zahidon ne pata diya
- Deewan-e-Shabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.