kabhi bhule-bisre jo main kahin kisi mai-kade mein chala gaya
kabhi bhule-bisre jo main kahin kisi mai-kade mein chala gaya
Mohammad Amir Azam Quraishi
MORE BYMohammad Amir Azam Quraishi
kabhī bhūle-bisre jo maiñ kahīñ kisī mai-kade meñ chalā gayā
mire naam aayā hai jaam agar na liyā gayā na piyā gayā
gayā bazm-e-husn-o-jamāl meñ jo maiñ shauq-e-arz-e-talab liye
mire zehn-o-dil kā vo haal thā ki zabāñ se kuchh na kahā gayā
mire nāma-bar ne jo ḳhat diyā mujhe lā ke jān-e-bahār kā
huī zehn-o-dil kī vo kaifiyat na paḌhā gayā na sunā gayā
ba-hazār koshish-o-justujū mirā zaḳhm-e-dil na huā rafū
lage laakh marham-e-rañg-o-bū na bharā gayā na siyā gayā
tirī be-ruḳhī ne diyā vo ġham jo kisī tarah bhī huā na kam
mujhe ghun kī tarah lagā rahā mirī zindagānī ko khā gayā
vo tajassus apnā bhī ḳhuub thā ki talāsh-e-haq thī jagah jagah
magar apne dil pe paḌī nazar to maiñ ek lamhe meñ pā gayā
hai 'amīr' dil meñ vahī chamak jo paḌī thī nuur kī ik jhalak
vahī ek partav-e-husn to mirī zindagī ko sajā gayā
kabhi bhule-bisre jo main kahin kisi mai-kade mein chala gaya
mere nam aaya hai jam agar na liya gaya na piya gaya
gaya bazm-e-husn-o-jamal mein jo main shauq-e-arz-e-talab liye
mere zehn-o-dil ka wo haal tha ki zaban se kuchh na kaha gaya
mere nama-bar ne jo KHat diya mujhe la ke jaan-e-bahaar ka
hui zehn-o-dil ki wo kaifiyat na paDha gaya na suna gaya
ba-hazar koshish-o-justuju mera zaKHm-e-dil na hua rafu
lage lakh marham-e-rang-o-bu na bhara gaya na siya gaya
teri be-ruKHi ne diya wo gham jo kisi tarah bhi hua na kam
mujhe ghun ki tarah laga raha meri zindagani ko kha gaya
wo tajassus apna bhi KHub tha ki talash-e-haq thi jagah jagah
magar apne dil pe paDi nazar to main ek lamhe mein pa gaya
hai 'amir' dil mein wahi chamak jo paDi thi nur ki ek jhalak
wahi ek partaw-e-husn to meri zindagi ko saja gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.