kabhi bulao, kabhi mere ghar bhi aaya karo
kabhī bulāo, kabhī mere ghar bhī aayā karo
yahī hai rasm-e-mohabbat, ise nibhāyā karo
tumhāre jism ke ash.ār mujh ko bhāte haiñ
mirī vafā kī ġhazal tum bhī gungunāyā karo
tumhāre vasl kī rātoñ kī lazzatoñ kī qasam
mujhe judā.ī ke manzar na ab dikhāyā karo
qarīb aao, in āñkhoñ kī justujū dekho
hayāt ban ke mire saath jagmagāyā karo
sharīf-zādoñ kī bejā ḳhatāoñ se milne
yatīm-ḳhānoñ ke bachchoñ se milne jaayā karo
hamāre hisse meñ maañ kī duā.eñ aa.iiñ 'kañval'
tum apne hisse kī daulat se ghar sajāyā karo
kabhi bulao, kabhi mere ghar bhi aaya karo
yahi hai rasm-e-mohabbat, ise nibhaya karo
tumhaare jism ke ashaar mujh ko bhate hain
meri wafa ki ghazal tum bhi gungunaya karo
tumhaare wasl ki raaton ki lazzaton ki qasam
mujhe judai ke manzar na ab dikhaya karo
qarib aao, in aankhon ki justuju dekho
hayat ban ke mere sath jagmagaya karo
sharif-zadon ki beja KHataon se milne
yatim-KHanon ke bachchon se milne jaya karo
hamare hisse mein man ki duaen aain 'kanwal'
tum apne hisse ki daulat se ghar sajaya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.