kabhi chaman se kabhi anjuman se guzre hain
kabhī chaman se kabhī anjuman se guzre haiñ
paḌā hai vaqt to dār-o-rasan se guzre haiñ
vo kyā Dareñge tire pech-o-ḳham se rāh-e-hayāt
jo kū-e-zulf-e-shikan-dar-shikan se guzre haiñ
nisār mausam-e-gul un kī ḳhanda-rūī par
jo muskurāte hue is chaman se guzre haiñ
unhīñ ke vāste zebā hai nāz-e-kaj-kulahī
rah-e-hayāt meñ jo bāñkpan se guzre haiñ
rachī-basī hai yahāñ un ke pairahan kī mahak
abhī abhī vo isī anjuman se guzre haiñ
nazar nazar meñ jalā kar charāġh-e-dānish-o-dīñ
hamīñ savād-e-dil-e-ahraman se guzre haiñ
hamīñ laboñ pe du’āoñ kā qāfila le kar
sahāb-e-bārgah-e-zul-minan se guzre haiñ
hamīñ chhiḌakte hue jā-ba-jā lahū apnā
dayār-e-lāla-o-sarv-o-saman se guzre haiñ
kabhi chaman se kabhi anjuman se guzre hain
paDa hai waqt to dar-o-rasan se guzre hain
wo kya Darenge tere pech-o-KHam se rah-e-hayat
jo ku-e-zulf-e-shikan-dar-shikan se guzre hain
nisar mausam-e-gul un ki KHanda-rui par
jo muskuraate hue is chaman se guzre hain
unhin ke waste zeba hai naz-e-kaj-kulahi
rah-e-hayat mein jo bankpan se guzre hain
rachi-basi hai yahan un ke pairahan ki mahak
abhi abhi wo isi anjuman se guzre hain
nazar nazar mein jala kar charagh-e-danish-o-din
hamin sawad-e-dil-e-ahraman se guzre hain
hamin labon pe du’aon ka qafila le kar
sahab-e-bargah-e-zul-minan se guzre hain
hamin chhiDakte hue ja-ba-ja lahu apna
dayar-e-lala-o-sarw-o-saman se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.