kabhi chanda kabhi suraj kabhi tare sambhaale hain
kabhī chanda kabhī sūraj kabhī taare sambhāle haiñ
suḳhanvar ke muqaddar meñ magar pairoñ ke chhāle haiñ
hamārī be-gunāhī kā yaqīñ un ko huā aise
vo jin ko chāhte haiñ ab unhīñ ke hone vaale haiñ
mirī bhūkī nigāhoñ meñ sharāfat DhūñDne vaale
tirī sone kī thālī meñ mire haq ke nivāle haiñ
hamārī jhoñpaḌī kā qad bahut ūñchā nahīñ lekin
tire mahloñ ke sab qisse hamāre dekhe bhāle haiñ
bharī mahfil meñ aa ke pūchhte haiñ haal merā vo
takalluf bhī nirālā hai irāde bhī nirāle haiñ
chalo ab is jahāñ kī soch se nazreñ haTā leñ ham
jahāñ tak dekhte haiñ har kisī ke haath kaale haiñ
Dubo kar mere ḳhvāboñ kā safīna paar utro tum
aur is 'ehsās' ke sapne to lahroñ ke havāle haiñ
kabhi chanda kabhi suraj kabhi tare sambhaale hain
suKHanwar ke muqaddar mein magar pairon ke chhaale hain
hamari be-gunahi ka yaqin un ko hua aise
wo jin ko chahte hain ab unhin ke hone wale hain
meri bhuki nigahon mein sharafat DhunDne wale
teri sone ki thaali mein mere haq ke niwale hain
hamari jhonpaDi ka qad bahut uncha nahin lekin
tere mahlon ke sab qisse hamare dekhe bhaale hain
bhari mahfil mein aa ke puchhte hain haal mera wo
takalluf bhi nirala hai irade bhi nirale hain
chalo ab is jahan ki soch se nazren haTa len hum
jahan tak dekhte hain har kisi ke hath kale hain
Dubo kar mere KHwabon ka safina par utro tum
aur is 'ehsas' ke sapne to lahron ke hawale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.