kabhi charagh kabhi rasta badal kar dekh
Interesting Fact
April 17, 2004, Lahore
kabhī charāġh kabhī rāsta badal kar dekh
bahut qarīb hai manzil zarā sā chal kar dekh
tire hisār se bāhar nahīñ zamān-o-makāñ
tū merī tarah kisī aa.ine meñ Dhal kar dekh
faqīr ban ke vo aayā hai terī chaukhaT par
ye koī aur nahīñ hai zarā sambhal kar dekh
nigār-ḳhāna-e-gardūñ ko raakh karte hue
zarā sī der kisī tāqche meñ jal kar dekh
zamīn tañg huī jā rahī hai logoñ par
hudūd-e-qarya-e-jāñ se kabhī nikal kar dekh
ravāñ-davāñ haiñ kisī samt meñ ki sākit haiñ
phir ek baar sitāroñ kī aañkh mal kar dekh
ajiib lutf hai tark-e-nashāt meñ 'sājid'
jo ho sake to mirī baat par amal kar dekh
kabhi charagh kabhi rasta badal kar dekh
bahut qarib hai manzil zara sa chal kar dekh
tere hisar se bahar nahin zaman-o-makan
tu meri tarah kisi aaine mein Dhal kar dekh
faqir ban ke wo aaya hai teri chaukhaT par
ye koi aur nahin hai zara sambhal kar dekh
nigar-KHana-e-gardun ko rakh karte hue
zara si der kisi taqche mein jal kar dekh
zamin tang hui ja rahi hai logon par
hudud-e-qarya-e-jaan se kabhi nikal kar dekh
rawan-dawan hain kisi samt mein ki sakit hain
phir ek bar sitaron ki aankh mal kar dekh
ajib lutf hai tark-e-nashat mein 'sajid'
jo ho sake to meri baat par amal kar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.