kabhi Darae kabhi KHud hi Darne lagti hai
kabhī Darā.e kabhī ḳhud hī Darne lagtī hai
hayāt harakat-e-atfāl karne lagtī hai
maiñ tañg aa ke jahāñ se jo dekhtā huuñ tujhe
merī nazar kī thakāvaT utarne lagtī hai
merī ragoñ meñ lahū shor ban ke dauḌtā hai
mere laboñ pe ḳhamoshī Thaharne lagtī hai
maiñ apne kamre meñ cigarette piitā rahtā huuñ
dhuāñ dhuāñ terī sūrat ubharne lagtī hai
vo jis galī se guzartā hai us galī kī ḳhabar
tamām galiyoñ se ho kar guzar ne lagtī hai
kisī kī ruuh ko dil se lagā.e rahtā huuñ
kisī ke jism kī chāhat mukarne lagtī hai
kabhi Darae kabhi KHud hi Darne lagti hai
hayat harakat-e-atfal karne lagti hai
main tang aa ke jahan se jo dekhta hun tujhe
meri nazar ki thakawaT utarne lagti hai
meri ragon mein lahu shor ban ke dauDta hai
mere labon pe KHamoshi Thaharne lagti hai
main apne kamre mein cigarette pita rahta hun
dhuan dhuan teri surat ubharne lagti hai
wo jis gali se guzarta hai us gali ki KHabar
tamam galiyon se ho kar guzar ne lagti hai
kisi ki ruh ko dil se lagae rahta hun
kisi ke jism ki chahat mukarne lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.