kabhi daricha kabhi dar dhaDakne lagta hai
kabhī darīcha kabhī dar dhaḌakne lagtā hai
hamāre dil kī tarah ghar dhaḌakne lagtā hai
vo dil banātā hai patthar pe itnī ḳhūbī se
phir us ke baa'd to patthar dhaḌakne lagtā hai
juḌe haiñ saare nazāre usī kī nazroñ se
vo dekhtā hai to manzar dhaḌakne lagtā hai
kabhī kabhī to ye hotā hai be-qarār itnā
nikal ke siine se bāhar dhaḌakne lagtā hai
zarā sī der barābar meñ baiThtā hai koī
hamārā dil bhī barābar dhaḌakne lagtā hai
'ajīb baat hai jab TūTtā hai dil 'sharjīl'
kuchh aur pahle se behtar dhaḌakne lagtā hai
kabhi daricha kabhi dar dhaDakne lagta hai
hamare dil ki tarah ghar dhaDakne lagta hai
wo dil banata hai patthar pe itni KHubi se
phir us ke ba'd to patthar dhaDakne lagta hai
juDe hain sare nazare usi ki nazron se
wo dekhta hai to manzar dhaDakne lagta hai
kabhi kabhi to ye hota hai be-qarar itna
nikal ke sine se bahar dhaDakne lagta hai
zara si der barabar mein baiThta hai koi
hamara dil bhi barabar dhaDakne lagta hai
'ajib baat hai jab TuTta hai dil 'sharjil'
kuchh aur pahle se behtar dhaDakne lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.