kabhi dariya kabhi sahra rahi hun
kabhī dariyā kabhī sahrā rahī huuñ
tumhārī zaat kā hissa rahī huuñ
akelī huuñ to haiñ yādeñ tumhārī
tumhāre saath to tanhā rahī huuñ
koī thī aur hī manzil tumhārī
yaqīnan maiñ faqat rasta rahī huuñ
dilā.ūñ yaad kyā de kar havāla
koī be-nām sā rishta rahī huuñ
guzar jā tū dabe paañv yahāñ se
maiñ ḳhud ko bātoñ meñ uljhā rahī huuñ
bahut mumkin hai phir vāpas na lauTūñ
tū baḌh kar rok le maiñ jā rahī huuñ
bahut toḌā hai maiñ ne ḳhud ko 'tārā'
musalsal ḳhud se hī ġhussa rahī huuñ
kabhi dariya kabhi sahra rahi hun
tumhaari zat ka hissa rahi hun
akeli hun to hain yaaden tumhaari
tumhaare sath to tanha rahi hun
koi thi aur hi manzil tumhaari
yaqinan main faqat rasta rahi hun
dilaun yaad kya de kar hawala
koi be-nam sa rishta rahi hun
guzar ja tu dabe panw yahan se
main KHud ko baaton mein uljha rahi hun
bahut mumkin hai phir wapas na lauTun
tu baDh kar rok le main ja rahi hun
bahut toDa hai main ne KHud ko 'tara'
musalsal KHud se hi ghussa rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.