kabhi diwar larazti hai to dar chiKHta hai
kabhi diwar larazti hai to dar chiKHta hai
Badr-e-Alam Khan Azmi
MORE BYBadr-e-Alam Khan Azmi
kabhī dīvār laraztī hai to dar chīḳhtā hai
jaane kyā baat hai din-rāt ye ghar chīḳhtā hai
saare māhaul pe taarī hai kasāfat aisī
saañs lete hue ghabrā ke shajar chīḳhtā hai
ḳhāmushī hausla zālim kā baḌhā detī hai
aur ḳhatā-kār hai mazlūm agar chīḳhtā hai
ruuh meñ Dank chubhotī hai sitam-pesha hayāt
ek ḳhāmosh fuġhāñ hai ki bashar chīḳhtā hai
kitnā be-ḳhauf thā vo ġhaar kī tārīkī meñ
aaj hāthoñ meñ liye shams-o-qamar chīḳhtā hai
kabhī tārīḳh uchhaltī hai kaTe haath ke saath
kabhī neze pe uchhālā huā sar chīḳhtā hai
pesh kartā hai chhupā kar ġham-e-pinhāñ lekin
us kī tahrīr kā har zer-o-zabar chīḳhtā hai
saḳht bīmār sahī 'tāj' abhī zinda hai
ik musavvir kā magar ḳhūn-e-jigar chīḳhtā hai
kabhi diwar larazti hai to dar chiKHta hai
jaane kya baat hai din-raat ye ghar chiKHta hai
sare mahaul pe tari hai kasafat aisi
sans lete hue ghabra ke shajar chiKHta hai
KHamushi hausla zalim ka baDha deti hai
aur KHata-kar hai mazlum agar chiKHta hai
ruh mein Dank chubhoti hai sitam-pesha hayat
ek KHamosh fughan hai ki bashar chiKHta hai
kitna be-KHauf tha wo ghaar ki tariki mein
aaj hathon mein liye shams-o-qamar chiKHta hai
kabhi tariKH uchhalti hai kaTe hath ke sath
kabhi neze pe uchhaala hua sar chiKHta hai
pesh karta hai chhupa kar gham-e-pinhan lekin
us ki tahrir ka har zer-o-zabar chiKHta hai
saKHt bimar sahi 'taj' abhi zinda hai
ek musawwir ka magar KHun-e-jigar chiKHta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.