kabhi dil mein utar jaana kabhi dil se utar jaana
kabhī dil meñ utar jaanā kabhī dil se utar jaanā
yahī hai dilbarī un kī mirā ghuT ghuT ke mar jaanā
chaman meñ jo huā us kā na do ilzām gulchīñ ko
bahāroñ kā ḳhafā honā gulāboñ kā bikhar jaanā
tumhāre haath meñ sūraj tumhāre haath meñ taare
ai qāsid le ke lailā ko mirī rah se guzar jaanā
kareñ shikva kisī se kyā yahī qismat hamārī thī
vahī dushman nikal aayā jise bhī mo'tabar jaanā
baḌā hī ḳhvār kartī hai mirī nāzuk-mizājī bhī
kahīñ par zabt kar jaanā kahīñ par aañkh bhar jaanā
hamārī sādgī dekheñ 'adū ke saath chal nikle
takalluf hī takalluf meñ use bhī ham-safar jaanā
mujhe to hādsoñ ne hī kisī sūrat na dī mohlat
kabhī zindāñ ko jā nikle kabhī sahrā ko ghar jaanā
na daulat hai na shohrat hai mohabbat kyā musībat hai
ai pyāre dost kuchh ilzām mere naam kar jaanā
nigāh-e-yār bhī qātil 'adū ke vaar bhī qātil
kaleja thaam kar tū bhī vahāñ ai nāma-bar jaanā
hameñ har haal meñ jiinā hai aur har haal meñ marnā
ye kaisā khel hai 'barham' idhar rahnā udhar jaanā
kabhi dil mein utar jaana kabhi dil se utar jaana
yahi hai dilbari un ki mera ghuT ghuT ke mar jaana
chaman mein jo hua us ka na do ilzam gulchin ko
bahaaron ka KHafa hona gulabon ka bikhar jaana
tumhaare hath mein suraj tumhaare hath mein tare
ai qasid le ke laila ko meri rah se guzar jaana
karen shikwa kisi se kya yahi qismat hamari thi
wahi dushman nikal aaya jise bhi mo'tabar jaana
baDa hi KHwar karti hai meri nazuk-mizaji bhi
kahin par zabt kar jaana kahin par aankh bhar jaana
hamari sadgi dekhen 'adu ke sath chal nikle
takalluf hi takalluf mein use bhi ham-safar jaana
mujhe to hadson ne hi kisi surat na di mohlat
kabhi zindan ko ja nikle kabhi sahra ko ghar jaana
na daulat hai na shohrat hai mohabbat kya musibat hai
ai pyare dost kuchh ilzam mere nam kar jaana
nigah-e-yar bhi qatil 'adu ke war bhi qatil
kaleja tham kar tu bhi wahan ai nama-bar jaana
hamein har haal mein jina hai aur har haal mein marna
ye kaisa khel hai 'barham' idhar rahna udhar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.