kabhi dil yaad karta hai kabhi mujhse jhagaDta hai
kabhī dil yaad kartā hai kabhī mujh se jhagaḌtā hai
jo bāhar dastaras se hoñ unhī bātoñ pe aḌtā hai
kisī khanDar purāne meñ badaltā jā rahā huuñ maiñ
ki rozāna hī andar se mirā ye jism jhaḌtā hai
kisī bhī or se aao mire hī paas aaoge
nishāñ tere bhī raste kā mire raste meñ paḌtā hai
ise vahshat se jaane kyoñ mohabbat ho rahī hai ab
kisī zanjīr ko ḳhud hī mirā paañv pakaḌtā hai
mujhe hī maar Dāleñge jo mere yaar bante haiñ
samundar rāste meñ hai qadam aage ko baḌhtā hai
ye hasrat dīd-e-sahrā kī kare majbūr hijrat par
bhalā kab itnī āsānī se rang-e-ishq chaḌhtā hai
chalo apnī anāoñ ko kareñ sajda ḳhushī se ham
magar ḳhvāboñ kā 'nāsir' jī nagar saarā ujaḌtā hai
kabhi dil yaad karta hai kabhi mujh se jhagaDta hai
jo bahar dastaras se hon unhi baaton pe aDta hai
kisi khanDar purane mein badalta ja raha hun main
ki rozana hi andar se mera ye jism jhaDta hai
kisi bhi or se aao mere hi pas aaoge
nishan tere bhi raste ka mere raste mein paDta hai
ise wahshat se jaane kyon mohabbat ho rahi hai ab
kisi zanjir ko KHud hi mera panw pakaDta hai
mujhe hi mar Dalenge jo mere yar bante hain
samundar raste mein hai qadam aage ko baDhta hai
ye hasrat did-e-sahra ki kare majbur hijrat par
bhala kab itni aasani se rang-e-ishq chaDhta hai
chalo apni anaon ko karen sajda KHushi se hum
magar KHwabon ka 'nasir' ji nagar sara ujaDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.