kabhi dimagh kabhi dil sata raha hai mujhe
kabhī dimāġh kabhī dil satā rahā hai mujhe
ye kaisā dard mire ham-navā diyā hai mujhe
ubhar ga.e haiñ sarāpā nuqūsh āñkhoñ meñ
vo harf harf bahut yaad aa rahā hai mujhe
tumhāre husn kī tā'rīf likhtā phirtā huuñ
zamāna aise hī shā'ir samajh rahā hai mujhe
kiyā hai is tarah badnām 'ishq ne tere
tirī galī kā har ik shaḳhs jāntā hai mujhe
koī mile na mile farq kuchh nahīñ paḌtā
bas ek tum se zamāne meñ vāsta hai mujhe
maiñ in pe rakh sakūñ ilzām qatl kā apne
tumhārī āñkhoñ se itnā to fā.eda hai mujhe
maiñ japtā phirtā huuñ terā hī naam har lamha
tirī nigāh ne pāgal banā diyā hai mujhe
tumhāre naam se 'shāriq-alī’ huā mansūb
tumhāre naam zamāne ne likh diyā hai mujhe
kabhi dimagh kabhi dil sata raha hai mujhe
ye kaisa dard mere ham-nawa diya hai mujhe
ubhar gae hain sarapa nuqush aankhon mein
wo harf harf bahut yaad aa raha hai mujhe
tumhaare husn ki ta'rif likhta phirta hun
zamana aise hi sha'ir samajh raha hai mujhe
kiya hai is tarah badnam 'ishq ne tere
teri gali ka har ek shaKHs jaanta hai mujhe
koi mile na mile farq kuchh nahin paDta
bas ek tum se zamane mein wasta hai mujhe
main in pe rakh sakun ilzam qatl ka apne
tumhaari aankhon se itna to faeda hai mujhe
main japta phirta hun tera hi nam har lamha
teri nigah ne pagal bana diya hai mujhe
tumhaare nam se 'shaariq-ali’ hua mansub
tumhaare nam zamane ne likh diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.