kabhi duniya mein aisa moajiza ho hi nahin sakta
kabhi duniya mein aisa moajiza ho hi nahin sakta
Santosh Purswani Sant
MORE BYSantosh Purswani Sant
kabhī duniyā meñ aisā mo.ajiza ho hī nahīñ saktā
nahīñ jo aap kā vo aap kā ho hī nahīñ saktā
agar ġham meñ bhī pahlū sukh kā koī DhūñD leñ ham to
safar phir zindagī kā be-mazā ho hī nahīñ saktā
jo nā-mumkin ho us meñ bhī ye gunjā.ish kareñ paidā
ḳhayāloñ kā to koī dā.era ho hī nahīñ saktā
vo mujh se duur rah kar bhī mirī dhaḌkan pe hai qābiz
ye aisā karb hai jo fāsla ho hī nahīñ saktā
tasavvur kī madad se roz ik tasvīr buntā huuñ
ki behtar is se koī mashġhala ho hī nahīñ saktā
tujhe manzil kī hasrat hai mujhe raḳht-e-safar pyārā
jo terā hai vo merā rāsta ho hī nahīñ saktā
kal ā.īne ne merī dekh kar sūrat kahā mujh se
tire jaisā to tanhā dūsrā ho hī nahīñ saktā
amīr-e-shahr kī andhī adālat meñ ye tai samjho
kisī muflis ke haq meñ faisla ho hī nahīñ saktā
Thikāne roz hī ḳhushiyāñ badaltī rahtī haiñ lekin
faqat ik dard hai jo lāpata ho hī nahīñ saktā
kisī maañ kī tarah merā ġhazal ne haath thāmā hai
ye hai vo qarz jis kā haq adā ho hī nahīñ saktā
vo jis dhartī pe sūfī-‘sant’ har-dam saath rahte hoñ
mohabbat kā vahāñ se ḳhātma ho hī nahīñ saktā
kabhi duniya mein aisa moajiza ho hi nahin sakta
nahin jo aap ka wo aap ka ho hi nahin sakta
agar gham mein bhi pahlu sukh ka koi DhunD len hum to
safar phir zindagi ka be-maza ho hi nahin sakta
jo na-mumkin ho us mein bhi ye gunjaish karen paida
KHayalon ka to koi daera ho hi nahin sakta
wo mujh se dur rah kar bhi meri dhaDkan pe hai qabiz
ye aisa karb hai jo fasla ho hi nahin sakta
tasawwur ki madad se roz ek taswir bunta hun
ki behtar is se koi mashghala ho hi nahin sakta
tujhe manzil ki hasrat hai mujhe raKHt-e-safar pyara
jo tera hai wo mera rasta ho hi nahin sakta
kal aaine ne meri dekh kar surat kaha mujh se
tere jaisa to tanha dusra ho hi nahin sakta
amir-e-shahr ki andhi adalat mein ye tai samjho
kisi muflis ke haq mein faisla ho hi nahin sakta
Thikane roz hi KHushiyan badalti rahti hain lekin
faqat ek dard hai jo lapata ho hi nahin sakta
kisi man ki tarah mera ghazal ne hath thama hai
ye hai wo qarz jis ka haq ada ho hi nahin sakta
wo jis dharti pe sufi-‘sant’ har-dam sath rahte hon
mohabbat ka wahan se KHatma ho hi nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.