kabhi dushman to kabhi yar samajhte hain mujhe
kabhī dushman to kabhī yaar samajhte haiñ mujhe
duniyā vaale to ye kirdār samajhte haiñ mujhe
sab se pahle to mire pyaar pe shak karte haiñ
aur phir us pe adākār samajhte haiñ mujhe
kuchh to insān haiñ jin ko maiñ burā lagtā huuñ
aur kuchh nafratī ġhaddār samajhte haiñ mujhe
pyaar kā maarā huuñ maiñ pyaar se mar jaatā huuñ
aur kuchh log gunahgār samajhte haiñ mujhe
ab masīhā.ī pe un kī mujhe shak hotā hai
'ishq hai aur vo bīmār samajhte haiñ mujhe
kabhi dushman to kabhi yar samajhte hain mujhe
duniya wale to ye kirdar samajhte hain mujhe
sab se pahle to mere pyar pe shak karte hain
aur phir us pe adakar samajhte hain mujhe
kuchh to insan hain jin ko main bura lagta hun
aur kuchh nafrati ghaddar samajhte hain mujhe
pyar ka mara hun main pyar se mar jata hun
aur kuchh log gunahgar samajhte hain mujhe
ab masihai pe un ki mujhe shak hota hai
'ishq hai aur wo bimar samajhte hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.