kabhi fughan se kabhi siskiyon se bharte hain
kabhī fuġhāñ se kabhī siskiyoñ se bharte haiñ
ye dil ke zaḳhm kahāñ marhamoñ se bharte haiñ
dinoñ ke suud chukāte haiñ tere kūche meñ
lagān raat ke ham ratjagoñ se bharte haiñ
tujhe milā to mohabbat pe phir yaqīñ aaya
purāne hijr na.ī qurbatoñ se bharte haiñ
tavīl qissa hai yuuñ kaun harf harf likhe
bayāz-e-dard so ham āñsuoñ se bharte haiñ
ham aise pyāsoñ kī tishna-labī kā kyā kahiye
ham apne jaam tumhāre laboñ se bharte haiñ
kabhi fughan se kabhi siskiyon se bharte hain
ye dil ke zaKHm kahan marhamon se bharte hain
dinon ke sud chukate hain tere kuche mein
lagan raat ke hum ratjagon se bharte hain
tujhe mila to mohabbat pe phir yaqin aaya
purane hijr nai qurbaton se bharte hain
tawil qissa hai yun kaun harf harf likhe
bayaz-e-dard so hum aansuon se bharte hain
hum aise pyason ki tishna-labi ka kya kahiye
hum apne jam tumhaare labon se bharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.