kabhi ghami ke nam par kabhi KHushi ki aaD mein
kabhī ġhamī ke naam par kabhī ḳhushī kī aaḌ meñ
tabāh kar gayā mujhe vo dostī kī aaḌ meñ
vo jab chalā gayā yahāñ se phir mujhe ḳhabar huī
ki maut pāltā rahā huuñ zindagī kī aaḌ meñ
vo shaḳhs bhī ajiib thā ajiib us ke shauq the
ḳhudā tarāshtā rahā sanam-garī kī aaḌ meñ
maiñ qurbatoñ kī chaah maiñ qarīb is ke ho gayā
vo duur mujh se ho gayā thā phir sahī kī aaḌ meñ
ajab nahīñ bahār-rut meñ saañp bhī huuñ baaġh meñ
kisī gulāb kī jagah kisī kalī kī aaḌ meñ
suḳhan kī lai ne dūriyoñ ke silsile miTā diye
tire qarīb aa ga.e haiñ shā.irī kī aaḌ meñ
kabhi ghami ke nam par kabhi KHushi ki aaD mein
tabah kar gaya mujhe wo dosti ki aaD mein
wo jab chala gaya yahan se phir mujhe KHabar hui
ki maut palta raha hun zindagi ki aaD mein
wo shaKHs bhi ajib tha ajib us ke shauq the
KHuda tarashta raha sanam-gari ki aaD mein
main qurbaton ki chah main qarib is ke ho gaya
wo dur mujh se ho gaya tha phir sahi ki aaD mein
ajab nahin bahaar-rut mein sanp bhi hun bagh mein
kisi gulab ki jagah kisi kali ki aaD mein
suKHan ki lai ne duriyon ke silsile miTa diye
tere qarib aa gae hain shairi ki aaD mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.