kabhi guman se bahar kabhi guman mein hai
kabhi guman se bahar kabhi guman mein hai
Shabana zaidi shabeen
MORE BYShabana zaidi shabeen
kabhī gumān se bāhar kabhī gumān meñ hai
vo be-nishān jo maujūd har nishān meñ hai
maiñ be-zabān nahīñ huuñ ba-pās-e-hurmat-e-harf
gaḌā huā koī ḳhanjar mirī zabān meñ hai
sabhī zamīn ke rishtoñ se kaT rahe haiñ ham
qadam zamīñ pa dimāġh apnā āsmān meñ hai
maiñ apnī zaat kī pātāl tak ko chhū aa.ī
jo Dūbne meñ nasha hai kahāñ uḌaan meñ hai
pahuñch se apnī bahut duur jā chukī huuñ to phir
koī to ālam-e-nāyāft mere dhyān meñ hai
koī to hogī bahar-hāl maslahat terī
vagarna tiir to ab tak tirī kamān meñ hai
ab apnī zaat kā idrāk ho chalā hai 'shabīn'
ki merī jaan meñ hai jo bhare jahān meñ hai
kabhi guman se bahar kabhi guman mein hai
wo be-nishan jo maujud har nishan mein hai
main be-zaban nahin hun ba-pas-e-hurmat-e-harf
gaDa hua koi KHanjar meri zaban mein hai
sabhi zamin ke rishton se kaT rahe hain hum
qadam zamin pa dimagh apna aasman mein hai
main apni zat ki patal tak ko chhu aai
jo Dubne mein nasha hai kahan uDan mein hai
pahunch se apni bahut dur ja chuki hun to phir
koi to aalam-e-nayaft mere dhyan mein hai
koi to hogi bahar-haal maslahat teri
wagarna tir to ab tak teri kaman mein hai
ab apni zat ka idrak ho chala hai 'shabin'
ki meri jaan mein hai jo bhare jahan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.