Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi hum unki sunte hain kabhi apni sunate hain

Madhukar Jha Khuddar

kabhi hum unki sunte hain kabhi apni sunate hain

Madhukar Jha Khuddar

MORE BYMadhukar Jha Khuddar

    kabhī ham un sunte haiñ kabhī apnī sunāte haiñ

    isī daur-e-mohabbat meñ ye din yuuñ biit jaate haiñ

    kahā thā jo kabhī tum ne chalo dekheñ nazāre ham

    usī qātil-adā se ab hamīñ ko kyuuñ satāte haiñ

    zamāna pūchhegā tumhāre ḳhasta-hāl beora

    hamārī baat to chhoḌo hameñ yuuñ bulāte haiñ

    pata pūchhe hamārā jo kaho ab kyā batā.eñ ham

    raqīboñ pata bhī to nahīñ ab ham batāte haiñ

    bhale 'ḳhuddar' kahtā ho ḳhatā-vārī nahīñ hai

    use bolo faqīroñ meñ use murshid batāte haiñ

    kabhi hum un ki sunte hain kabhi apni sunate hain

    isi daur-e-mohabbat mein ye din yun bit jate hain

    kaha tha jo kabhi tum ne chalo dekhen nazare hum

    usi qatil-ada se ab hamin ko kyun satate hain

    zamana puchhega tumhaare KHasta-haal ka beora

    hamari baat to chhoDo hamein yun hi bulate hain

    pata puchhe hamara jo kaho ab kya bataen hum

    raqibon ka pata bhi to nahin ab hum batate hain

    bhale 'KHuddar' kahta ho KHata-wari nahin ki hai

    use bolo faqiron mein use murshid batate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now