kabhi hansi kabhi aansu kabhi ghubar hun main
kabhī hañsī kabhī aañsū kabhī ġhubār huuñ maiñ
mujhe khañgālo ki jazboñ kā reg-zār huuñ maiñ
badan hai kāñch kā lekin muhaqqiqo Thahro
sañbhal ke haath lagānā ki sangsār huuñ maiñ
har iltijā mujhe Thukrā ke lauT jaatī hai
ḳhalā meñ koī muallaq sā kohsār huuñ maiñ
maiñ sab ke paas huuñ par koī mere paas nahīñ
kisī tamāshe yā circus kā ishtihār huuñ maiñ
simaT gayā huuñ to achchhā hai Thos kī sūrat
mujhe na chheḌo ki taḳhrīb kā ġhubār huuñ maiñ
kabhi hansi kabhi aansu kabhi ghubar hun main
mujhe khangalo ki jazbon ka reg-zar hun main
badan hai kanch ka lekin muhaqqiqo Thahro
sanbhal ke hath lagana ki sangsar hun main
har iltija mujhe Thukra ke lauT jati hai
KHala mein koi muallaq sa kohsar hun main
main sab ke pas hun par koi mere pas nahin
kisi tamashe ya circus ka ishtihaar hun main
simaT gaya hun to achchha hai Thos ki surat
mujhe na chheDo ki taKHrib ka ghubar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.