kabhi haqiqat ke aaine mein kabhi libas-e-majaz mein hai
kabhi haqiqat ke aaine mein kabhi libas-e-majaz mein hai
Muslim Maleganwi
MORE BYMuslim Maleganwi
kabhī haqīqat ke aa.ine meñ kabhī libās-e-majāz meñ hai
hazār-hā shakl tere jalvoñ kī dīda-e-imtiyāz meñ hai
tirī mohabbat ke dā.ere ne jo had banā dī hai bandagī kī
vo ḳhatt-e-taqdīr ban ke raushan mirī jabīn-e-niyāz meñ hai
hazāroñ ā.īne apne hāthoñ banā banā ke haiñ toḌ Daale
magar na ab tak miTī vo hairat jo chashm-e-ā.īna-sāz meñ hai
jo baat kahnī na thī vo kah dī hañsī hañsī meñ kalī kalī ne
magar samajhte haiñ ahl-e-gulshan ki raaz gulshan kā raaz meñ hai
abhī to us sang-e-āstāñ kā nishān tak bhī nazar na aaya
abhī se kaisī taḌap ye paidā mirī jabīn-e-niyāz meñ hai
anokhe mazmūñ haiñ pech-o-ḳham ke nirāle unvāñ shikan shikan ke
azal se afsāna-e-mohabbat kisī kī zulf-e-darāz meñ hai
mire taḳhayyul ko raas kyā aa.e hind kā ḳhār-zār 'muslim'
nasheman is tā.ir-e-ḳhush-ilhāñ kā gulsitān-e-hijāz meñ he
kabhi haqiqat ke aaine mein kabhi libas-e-majaz mein hai
hazar-ha shakl tere jalwon ki dida-e-imtiyaz mein hai
teri mohabbat ke daere ne jo had bana di hai bandagi ki
wo KHatt-e-taqdir ban ke raushan meri jabin-e-niyaz mein hai
hazaron aaine apne hathon bana bana ke hain toD Dale
magar na ab tak miTi wo hairat jo chashm-e-aina-saz mein hai
jo baat kahni na thi wo kah di hansi hansi mein kali kali ne
magar samajhte hain ahl-e-gulshan ki raaz gulshan ka raaz mein hai
abhi to us sang-e-astan ka nishan tak bhi nazar na aaya
abhi se kaisi taDap ye paida meri jabin-e-niyaz mein hai
anokhe mazmun hain pech-o-KHam ke nirale unwan shikan shikan ke
azal se afsana-e-mohabbat kisi ki zulf-e-daraaz mein hai
mere taKHayyul ko ras kya aae hind ka KHar-zar 'muslim'
nasheman is tair-e-KHush-ilhan ka gulsitan-e-hijaz mein he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.