kabhi hasin koi hadisa hua hi nahin
kabhī hasīn koī hādisa huā hī nahīñ
tamām umr kaTī vo mirā huā hī nahīñ
sukūn kyā hai ḳhushī kyā hai chain kyā shai hai
maiñ kyā batā.ūñ mujhe tajraba huā hī nahīñ
jise yaqīn thā vo āsmāñ ko chhū aayā
jise ġhurūr thā vo to baḌā huā hī nahīñ
na jaane kaun sī us meñ kamī rahī hogī
koī bhī shaḳhs kabhī devtā huā hī nahīñ
kahā thā maiñ ne ki ik roz aap badleñge
ye aur baat ki merā kahā huā hī nahīñ
kabhi hasin koi hadisa hua hi nahin
tamam umr kaTi wo mera hua hi nahin
sukun kya hai KHushi kya hai chain kya shai hai
main kya bataun mujhe tajraba hua hi nahin
jise yaqin tha wo aasman ko chhu aaya
jise ghurur tha wo to baDa hua hi nahin
na jaane kaun si us mein kami rahi hogi
koi bhi shaKHs kabhi dewta hua hi nahin
kaha tha main ne ki ek roz aap badlenge
ye aur baat ki mera kaha hua hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.