kabhi hota hai pareshan kabhi sharmata hai
kabhī hotā hai pareshāñ kabhī sharmātā hai
ā.īna mere ḳhad-o-ḳhāl se ghabrātā hai
reñgte reñgte ik aah mujhe khīñchtī hai
aur ik ḳhauf mire jism meñ dar aatā hai
ḳhud bhī maiñ ḳhāk-zada ḳhasta badan huuñ pa mujhe
apne kashkol kī hālat pe taras aatā hai
yak-ba-yak ek charāġh apnī taraf khīñchtā huuñ
azhdahā dekhtā hai aur lipaT jaatā hai
kitnā mānūs hai mujh se tire hoñToñ kā sukūt
muskurā.ūñ to mire halq tak aa jaatā hai
rafta rafta mujhe jhinjhoḌtā hai sabz-e-ḳhudā
jaise dīmak koī lakḌī kī ġhizā khātā hai
shaam ke vaqt lahū rang-e-mohabbat kī tarah
koī aatā hai rulātā hai chalā jaatā hai
kabhi hota hai pareshan kabhi sharmata hai
aaina mere KHad-o-KHal se ghabraata hai
rengte rengte ek aah mujhe khinchti hai
aur ek KHauf mere jism mein dar aata hai
KHud bhi main KHak-zada KHasta badan hun pa mujhe
apne kashkol ki haalat pe taras aata hai
yak-ba-yak ek charagh apni taraf khinchta hun
azhdaha dekhta hai aur lipaT jata hai
kitna manus hai mujh se tere honTon ka sukut
muskuraun to mere halq tak aa jata hai
rafta rafta mujhe jhinjhoDta hai sabz-e-KHuda
jaise dimak koi lakDi ki ghiza khata hai
sham ke waqt lahu rang-e-mohabbat ki tarah
koi aata hai rulata hai chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.