kabhi iman ki baaten kabhi kirdar ki baaten
kabhī īmān kī bāteñ kabhī kirdār kī bāteñ
chalo chhoḌo haTo karne lage bekār kī bāteñ
batāne lag ga.ī haiñ asl qātil ko masīhā ye
bharose ke kahāñ qābil rahīñ aḳhbār kī bāteñ
na jaane kitne hī rishtoñ ko be-ghar kar chukī haiñ ye
hamāre ghar kī chaukhaT pe khaḌī bāzār kī bāteñ
tamāmī nafratoñ par guftugū kī umr bhar ab to
chalo aao kareñ thoḌī vafā-o-pyār kī bāteñ
kabhi iman ki baaten kabhi kirdar ki baaten
chalo chhoDo haTo karne lage bekar ki baaten
batane lag gai hain asl qatil ko masiha ye
bharose ke kahan qabil rahin aKHbar ki baaten
na jaane kitne hi rishton ko be-ghar kar chuki hain ye
hamare ghar ki chaukhaT pe khaDi bazar ki baaten
tamami nafraton par guftugu ki umr bhar ab to
chalo aao karen thoDi wafa-o-pyar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.