kabhi ilm ne use mat di kabhi aagahi ne hara diya
kabhī ilm ne use maat dī kabhī āgahī ne harā diyā
jise tīrgī na harā sakī use raushnī ne harā diyā
kabhī ḳhushk un ke na lab hue rahī jin kī qatroñ se dostī
jo samundaroñ ke rafīq the unheñ tishnagī ne harā diyā
jinheñ bebasī na harā sakī unheñ phir na koī harā sakā
jo zarūratoñ ke ġhulām the unheñ har kisī ne harā diyā
hameñ sar-bulandī atā huī jahāñ jis mahāz pe DaT ga.e
mare roz jis kī talab meñ ham usī zindagī ne harā diyā
na hai ilm-o-fan kī talab tumheñ na taraqqiyoñ kā junūn hai
jo tumhārā tarz-e-hayāt hai tumheñ bas usī ne harā diyā
rah-e-ishq meñ jo fanā hue unheñ jāvedānī atā huī
jo asīr-e-husn-e-hayāt the unheñ be-hisī ne harā diyā
kabhi ilm ne use mat di kabhi aagahi ne hara diya
jise tirgi na hara saki use raushni ne hara diya
kabhi KHushk un ke na lab hue rahi jin ki qatron se dosti
jo samundaron ke rafiq the unhen tishnagi ne hara diya
jinhen bebasi na hara saki unhen phir na koi hara saka
jo zaruraton ke ghulam the unhen har kisi ne hara diya
hamein sar-bulandi ata hui jahan jis mahaz pe DaT gae
mare roz jis ki talab mein hum usi zindagi ne hara diya
na hai ilm-o-fan ki talab tumhein na taraqqiyon ka junun hai
jo tumhaara tarz-e-hayat hai tumhein bas usi ne hara diya
rah-e-ishq mein jo fana hue unhen jawedani ata hui
jo asir-e-husn-e-hayat the unhen be-hisi ne hara diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.