kabhi iqrar karta hai kabhi inkar karta hai
kabhi iqrar karta hai kabhi inkar karta hai
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
kabhī iqrār kartā hai kabhī inkār kartā hai
mohabbat kā vo mujh se is tarah iz.hār kartā hai
mere ḳhvāboñ meñ aa kar chhīn letā hai sukūñ merā
ye kaisā dost hai jiinā mirā dushvār kartā hai
kabhī bhī sāmne se dū-badū hotā nahīñ zālim
ajab buzdil hai har dam fāsle se vaar kartā hai
bichhātā hai jo kāñTe dūsroñ kī raah meñ har dam
haqīqat meñ vo apnī raah ḳhud pur-ḳhār kartā hai
nibāhegā zamāne se vo kaise rasm-e-ulfat ko
jo apnī kaj-adā.ī se hameñ bezār kartā hai
gunāhoñ meñ chhupā rakkhī hai us ne kis qadar lazzat
nahīñ karnā hai jis ko dil use sau baar kartā hai
'majīd' ab dil lagānā bhī nahīñ aatā hai logoñ ko
jise dekho vahī ulfat meñ kārobār kartā hai
kabhi iqrar karta hai kabhi inkar karta hai
mohabbat ka wo mujh se is tarah izhaar karta hai
mere KHwabon mein aa kar chhin leta hai sukun mera
ye kaisa dost hai jina mera dushwar karta hai
kabhi bhi samne se du-badu hota nahin zalim
ajab buzdil hai har dam fasle se war karta hai
bichhata hai jo kanTe dusron ki rah mein har dam
haqiqat mein wo apni rah KHud pur-KHar karta hai
nibahega zamane se wo kaise rasm-e-ulfat ko
jo apni kaj-adai se hamein bezar karta hai
gunahon mein chhupa rakkhi hai us ne kis qadar lazzat
nahin karna hai jis ko dil use sau bar karta hai
'majid' ab dil lagana bhi nahin aata hai logon ko
jise dekho wahi ulfat mein karobar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.