kabhi jalta badan dekha kabhi uThta dhuan paya
kabhī jaltā badan dekhā kabhī uThtā dhuāñ paayā
gunāhoñ ke tasalsul se azāb-e-jāñ ravāñ paayā
rumūz-e-bandagī ham par khule un ke vasīle se
jinheñ aalam ne rahmat kā muhīt-e-be-karāñ paayā
muqaddar se bhalā kyūñkar na ahl-e-dil kareñ shikva
ki sham-e-jāñ jalā kar bhī añdherā darmiyāñ paayā
bharam apnī ḳhirad-mandī kā TuuTā us ghaḌī jis dam
habāb-e-dajla meñ ham ne samundar ko nihāñ paayā
bahār aa.ī chaman meñ aur asīrān-e-qafas ne bhī
na.ī rut kī havā paa.ī nayā ik pāsbāñ paayā
mirā sar dekh kar bole mire ahbāb dushman se
ye kis sarkash kā sar hai jo sar-e-nok-e-sināñ paayā
na ġhuncha kā na bulbul kā na hī bād-e-bahārī kā
chaman meñ to faqat ham ne nishān-e-kushtagāñ paayā
ḳhud apnī zaat meñ ham qaid ho kar rah ga.e 'amjad'
dil-e-nādāñ ko ham ne bhī vagarna ḳhūñ-chakāñ paayā
kabhi jalta badan dekha kabhi uThta dhuan paya
gunahon ke tasalsul se azab-e-jaan rawan paya
rumuz-e-bandagi hum par khule un ke wasile se
jinhen aalam ne rahmat ka muhit-e-be-karan paya
muqaddar se bhala kyunkar na ahl-e-dil karen shikwa
ki sham-e-jaan jala kar bhi andhera darmiyan paya
bharam apni KHirad-mandi ka TuTa us ghaDi jis dam
habab-e-dajla mein hum ne samundar ko nihan paya
bahaar aai chaman mein aur asiran-e-qafas ne bhi
nai rut ki hawa pai naya ek pasban paya
mera sar dekh kar bole mere ahbab dushman se
ye kis sarkash ka sar hai jo sar-e-nok-e-sinan paya
na ghuncha ka na bulbul ka na hi baad-e-bahaari ka
chaman mein to faqat hum ne nishan-e-kushtagan paya
KHud apni zat mein hum qaid ho kar rah gae 'amjad'
dil-e-nadan ko hum ne bhi wagarna KHun-chakan paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.