kabhi jo aapko dekhun to dil mein phul khilte hain
kabhī jo aap ko dekhūñ to dil meñ phuul khilte haiñ
kahūñ maiñ aap se kaise mujhe aap achchhe lagte haiñ
mire dil kī ye ḳhvāhish hai banūñ maiñ aap kī dul.han
ki dil meñ aap rahte haiñ mire hoñToñ pe sajte haiñ
adhūre ḳhvāb jīvan ke mire ho jā.eñge puure
mirī āñkhoñ meñ terī chaah ke ilhām palte haiñ
yahāñ fursat kise hai dil kī jo bastī kare ābād
yahāñ sūraj kī hamrāhī meñ saare log chalte haiñ
kināre nīlgūñ dariyā ke jaise ham bhī haiñ goyā
'duā' jo paanī ke phailāv kī duurī pe rahte haiñ
kabhi jo aap ko dekhun to dil mein phul khilte hain
kahun main aap se kaise mujhe aap achchhe lagte hain
mere dil ki ye KHwahish hai banun main aap ki dulhan
ki dil mein aap rahte hain mere honTon pe sajte hain
adhure KHwab jiwan ke mere ho jaenge pure
meri aankhon mein teri chah ke ilham palte hain
yahan fursat kise hai dil ki jo basti kare aabaad
yahan suraj ki hamrahi mein sare log chalte hain
kinare nilgun dariya ke jaise hum bhi hain goya
'dua' jo pani ke phailaw ki duri pe rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.