kabhi jo bhule se dil mein KHayal-e-yar aaya
kabhī jo bhūle se dil meñ ḳhayāl-e-yār aayā
shabāb-e-rafta ko maiñ duur tak pukār aayā
kuchh is adā se mirā jān-e-intizār aayā
mujhe ḳhud apnī nazar par na e.atibār aayā
kiyā thā aane kā va.ada vo ek baar aayā
na aa sakā sar-e-bālīñ sar-e-mazār aayā
ye merī aah kī tāsīr thī yā us kī zid
vo be-qarār huā jab mujhe qarār aayā
balā.eñ le ke mire zaḳhm-e-dil ko chuum liyā
sitam-zarīf ko aayā to kis pe pyaar aayā
hamāre baad jo aa.e haiñ pūchh lo un se
ki un ke paañv ke nīche bhī koī ḳhaar aayā
jis aa.ine ko nazar bhar ke maiñ ne dekh liyā
us aa.ine meñ nazar mujh ko aks-e-yār aayā
pilā.ī thī mire saaqī ne jis meñ pahle-pahal
vo jaam mere tasavvur meñ bār-bār aayā
sunī thī apnī hī āvāz dasht-e-vahshat meñ
maiñ apne aap ko chāroñ taraf pukār aayā
gayā thā tark-e-mohabbat kā faisla karne
magar maiñ āḳhirī baazī bhī un se haar aayā
dil-o-jigar ko luTā kar nazar-guzar ke liye
maiñ tere husn kā sadqa bhī aaj utaar aayā
kabhi jo bhule se dil mein KHayal-e-yar aaya
shabab-e-rafta ko main dur tak pukar aaya
kuchh is ada se mera jaan-e-intizar aaya
mujhe KHud apni nazar par na eatibar aaya
kiya tha aane ka wada wo ek bar aaya
na aa saka sar-e-baalin sar-e-mazar aaya
ye meri aah ki tasir thi ya us ki zid
wo be-qarar hua jab mujhe qarar aaya
balaen le ke mere zaKHm-e-dil ko chum liya
sitam-zarif ko aaya to kis pe pyar aaya
hamare baad jo aae hain puchh lo un se
ki un ke panw ke niche bhi koi KHar aaya
jis aaine ko nazar bhar ke main ne dekh liya
us aaine mein nazar mujh ko aks-e-yar aaya
pilai thi mere saqi ne jis mein pahle-pahal
wo jam mere tasawwur mein bar-bar aaya
suni thi apni hi aawaz dasht-e-wahshat mein
main apne aap ko chaaron taraf pukar aaya
gaya tha tark-e-mohabbat ka faisla karne
magar main aaKHiri bazi bhi un se haar aaya
dil-o-jigar ko luTa kar nazar-guzar ke liye
main tere husn ka sadqa bhi aaj utar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.