kabhi jo haal-e-dil likhkhun tasalsul TuT jata hai
kabhī jo hāl-e-dil likhkhūñ tasalsul TuuT jaatā hai
koī shai kho sī jaatī hai kahīñ kuchh chhūT jaatā hai
matā-e-umr kī gaThrī kahāñ rakhūñ maiñ le jā kar
guzarne vaalā har lamha ye daulat luuT jaatā hai
agar shīsha ho hāthoñ meñ to tan farhād hai jānāñ
pahāḌoñ kī chaTānoñ se bhī chashma phuuT jaatā hai
ye kaisā but-kada hai saare but haiñ kachchī miTTī ke
maiñ jis chehre ko chhūtā huuñ vo chehra TuuT jaatā hai
ajab hai ehtisāb-e-umr-e-rafta kī ye manzil bhī
agar qatroñ ko gintā huuñ to dariyā chhūT jaatā hai
kabhi jo haal-e-dil likhkhun tasalsul TuT jata hai
koi shai kho si jati hai kahin kuchh chhuT jata hai
mata-e-umr ki gaThri kahan rakhun main le ja kar
guzarne wala har lamha ye daulat luT jata hai
agar shisha ho hathon mein to tan farhad hai jaanan
pahaDon ki chaTanon se bhi chashma phuT jata hai
ye kaisa but-kada hai sare but hain kachchi miTTi ke
main jis chehre ko chhuta hun wo chehra TuT jata hai
ajab hai ehtisab-e-umr-e-rafta ki ye manzil bhi
agar qatron ko ginta hun to dariya chhuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.