kabhi jo marka KHwabon se rat-jagon ka hua
kabhī jo mārka ḳhvāboñ se rat-jagoñ kā huā
ajiib silsila āñkhoñ se āñsuoñ kā huā
jalā ke chhoḌ gayā thā jo tāq-e-dil meñ kabhī
kisī ne pūchhā na kyā haal un diyoñ kā huā
likhā gayā hai mirā naam dushmanoñ meñ sadā
shumār jab bhī kabhī mere dostoñ kā huā
mazāq uḌāte the āñdhī se pahle sab merā
jo mere ghar kā thā phir haal sab gharoñ kā huā
badal rahī haiñ mire haath kī lakīreñ phir
kahā na ab ke bhī shāyad najūmiyoñ kā huā
vafā-shi.ār tabī.at kā ye sila hai 'nūr'
mirī hayāt kā har lamha dūsroñ kā huā
kabhi jo marka KHwabon se rat-jagon ka hua
ajib silsila aankhon se aansuon ka hua
jala ke chhoD gaya tha jo taq-e-dil mein kabhi
kisi ne puchha na kya haal un diyon ka hua
likha gaya hai mera nam dushmanon mein sada
shumar jab bhi kabhi mere doston ka hua
mazaq uDate the aandhi se pahle sab mera
jo mere ghar ka tha phir haal sab gharon ka hua
badal rahi hain mere hath ki lakiren phir
kaha na ab ke bhi shayad najumiyon ka hua
wafa-shiar tabiat ka ye sila hai 'nur'
meri hayat ka har lamha dusron ka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.